Haanth Jod Vinati Karu Haanth jod vinati karu,
sunjyo chit lagaaye,

Haanth Jod Vinati Karu
Haanth jod vinati karu, sunjyo chit lagaaye,

Daas aa gayo sharan mei, rakhiyo mhaari laaj,
Dhnya dhundharo desh hai, Khatu nagar Sujaan,
Anupam chhavi shree Shyam ki, darshan se kalyaan,
Shyam Shyam mai ratu, Shyam hai jiwan praan,
Shyam bhakt jag mei bade, unko karu pranaam,
Khatu nagar ke bich mei, banyo aapko dhaam,
Faagun sukla mela bhare, jai- jai baba Shyam,
Faagun sukla dwaadasi utsav bhaari hoye,
Baba ke darbaar se khaali jaaye na koi,
Umapati, Lakshamipati, Sitapati shree Raam,
Lajja sabki raakhiyo, khatu ke baba Shyam,
Paan supari ilayechi, ittar sugandh bharpur,
Sab bhaktan ki vinati, darshan dewo hujur,
Aalusingh ji toh prem se, dhare Shyam ko dhyaan,
Shyam bhakt paawe sadaa, shree Shyam kripa se maan,
Jai- jai baba Shyam, Jai- jai baba Shyam,

Browse all bhajans by Liyaqat Ali

Browse Temples in India