Itna Saj Dhaj Ke Baitho Na Saware, Harminder Singh Romi Bhajan - Itna Saj Dhaj Ke Baitho Na Saware
Itna Saj Dhaj Ke Baitho Na Saware, Harminder Singh Romi Bhajan - Itna Saj Dhaj Ke Baitho Na Saware

Harminder Singh Romi Bhajan – Itna Saj Dhaj Ke Baitho Na Saware

Itna Saj Dhaj Ke Baitho Na Saware
Lag Naa Jaye Nazar Tujhko Baware

Itna Saj Dhaj Ke Baitho Na Saanware
Lag Naa Jaye Nazar Tujhko Baware

Kaare Ghunghare Tere Kesh Sanwariya
Kaare Kajrare Tore Nain

Sanwariya Suratiya Pe Hotho Ki Laali
Dil Ka Udaye Sabka Chain

Tori Banki Aadaye Mori Jaan Laiyeele
Taan Murali Aisi More Pran Laiye Le

Lag Naa Jaye Nazar Tujhko Baware
Itna Saj Dhaj Ke Baitho Na Saanware

Mor Mukut Mathe Chandan Ka Teeka
Chanda Bhi Dekh Sharmaye
Kano Mein Kundal Gal Vaijanti Maala
Tirchhi Kamar Balkhaye Tori

Khuch Aisa Kanhaiya Prabandh Kardo
Tujhe Nazaro Ke Kamare Mein Band Kardu

Lag Naa Jaye Nazar Tujhko Baware
Itna Saj Dhaj Ke Baitho Na Saware

Apno Ko Lagati Hai Apno Ki Nazare
Sunlo Mere Sarkar
Kahta Hai Romi Jara Bach Bach Ke Rahna
Jalim Bada Sansaar

Aaja Aaja Kanhaiya Loon Rayi Maar Du
Kali Tikki Lagake Nazare Utar Du
Lag Naa Jaye Nazar Tujhko Baware
Itna Saj Dhaj Ke Baitho Na Saware

Browse Temples in India