Kalptaru punyaatma prem sudha shiv naam

Kalptaru punyaatma 
Kalptaru punyaatma prem sudha shiv naam

Hitakark sanjeevani shiv chintan aviram
Patit pavan jaise madhu shiv ras naake ghol
Bhakti ke hansa hi chuge moti yeh anmol
Jaise tanik suhaga sone ko chamkaye
Shiv sumiranse aatma adbudth nikhari jaaye
Jaise chandan vrish ko daste nahi hai naag
Shiv bhakto ke chole ko khabi lage na daag
Om Namah om Shivaye , Om Namah om Shivaye 

Daya nidhi bhuteshwar shiv hai chatur sujan
Kan kan bheetar hai base neelkanth baghwaan
Chandrachud ke netra umapati vishvesh
Sharnagait ke yeh sada pake sakal anek
Shiv dware prapanch ka chal nahi sakta khel
Aag aur paani kaa jaise hota nahi hai mail
Bhayabhanjana nataraj hai damru wale naath

Shiv ka vandan jo kare shiv hai unke saath
Om Namah om Shivaye , Om Namah om Shivaye 
Lakho ashwadmedh ho so ganga asnaan
Inse uttam hai kahi shiv charnoo ka dhyaan
Alakh niranjan nathse upje aatma gyaan
Bhatke ko rastaa mile mushkil ho aasaan
Amar guno ki khan hai chit shudhi shiv dhyan
Sat sangati mein baithke karlo praschyaataap
Lingeshwar ke mananse sidh ho jaate kaaj
Namo shivaiye ratata jaa shiv rakhenge laaj
Om Namah om Shivaye , Om Namah om Shivaye 
Shiv charnoo ko chunese tanman pavan hoi
Shiv ke roop anupki samata kare na koi
Mahabali mahadev hai maha prabhu maha kaal
Asur nikandan bhakt ki peeda hare tatkaal
Sarvyapee shiv bhola dharm roop sukh kaal
Amarananta bhagwanta jagke palan haar
Shiv karta sansaar ke shiv shrishti ke mool
Rom rom shiv ramne do shiv na jaiyyo bhul
Om Namah om Shivaye , Om Namah om Shivaye

See also  भोला भंडारी आया, मोहन तेरी गली में मोहन तेरी गली में, कान्हा तेरी गली में भजन लिरिक्स

Browse Temples in India