Shyam hi puja meri, Shyam hi prarthana, Lyrics

Shyam Hi Puja Meri- Khatu Shyam Bhajan By Susheel Goel

Shyam hi puja meri, Shyam hi prarthana, Lyrics in Hindi

Shyam Hi Puja Meri
Shyam hi puja meri, Shyam hi prarthana,
Shyam hi vandan mera, Shyam aradhana,

Shyam hi puja meri, Shyam hi prarthana,
Shyam hi vandan mera, Shyam aradhana,
Meri aankho mei tu hai, meri saanso mei tu hai,
Aur kuchh na bolu mai, bas itna hi bolu,
Dil mei tu basta hai, baba mai kya karu,
Apna sa lagta hai, baba mai kya karu,
Tere hi dam pe, teri hi daya se, sukhmay ye jiwan ho gaya,
Dekha hai tumko, jab se salone, teri chitwan mei mai kho gaya,
Meri nas nas mei tu hai, meri dhadkan mei tu hai,
Aur kuchh na bolu mai, bas itna hi bolu,
Dil mei tu basta hai, baba mai kya karu,
Apna sa lagta hai, baba mai kya karu,

Kaise mai batau, kaise mai dikhau, pyaar dil mei hai kitna bhara,
Juda nahi hona, khafa nahi hona, aaj vada yeh kar le jara,
Mera saathi bhi tu hai, mera maajhi bhi tu hai,
Aur kuchh na bolu mai, bas itna hi bolu,
Dil mei tu basta hai, baba mai kya karu,
Apna sa lagta hai, baba mai kya karu,
Murjha gaya tha ful yeh man ka, teri kripa se hi khil gaya,
Teri sharan mei, teri charan mei, Harsh ko toh thikana mil gaya,
Mere sapno mei tu hai, mere apno mei tu hai,
Aur kuchh na bolu mai, bas itna hi bolu,
Dil mei tu basta hai, baba mai kya karu,
Apna sa lagta hai, baba mai kya karu,

Download PDF (Shyam hi puja meri, Shyam hi prarthana, Bhajans Bhakti Songs)

Shyam hi puja meri, Shyam hi prarthana, Bhajans Bhakti Songs

Download PDF: Shyam hi puja meri, Shyam hi prarthana, Lyrics Bhajans Bhakti Songs

Shyam hi puja meri, Shyam hi prarthana, Lyrics Transliteration (English)

Shyam hi puja meri, Shyam hi prarthana, Video

Shyam hi puja meri, Shyam hi prarthana, Video

Browse Temples in India